Rishtey...yaani ki relation.insaan ki zindagi ek kahani ki tarah hoti hai aur iis kahani se kayi insaano ki kahaniya judi hoti hai jo ki humaari kahani mein tab tak nahi shuru hoti jab tak woh insaan humari zindagi mein nahi aata.ek insaan apni zindagi mein kayi daur se gujarta hai. kuch halaato mein woh khud ka mann majboot mehsoos karta hai lekin kuch halaato mein ooska mann kisi mausam ki tarah badalta rehta hai.bus yahi oon wajaho mein se ek wajah hai ki ooski relation ke prati soch badalti rehti hai.kabhi oose lagta hai ki koi mera nahi hai-main bina kisi ke reh sakta hu aur kabhi oose lagta hai ki rishtey nahi to zindagi mein shayad kuch bhi nahi.aaj main mere iis blog mein relations ke liye mera nazariya likhne ja raha hu.
Rishto ki mithaas aur kadwahat ke dhaago se zindagi ka taana-baana banta hai.har insaan apne relations ki peripheris ko ek priority deta hai aur insaan ki priority ke according oos peripheri mein insaan ko rakhta hai.kabhi kabhi aisa bhi ho jata hai ki jo humaare liye kareebi hota hai,ooske liye shayad hum nahi hotey ootne kareeb aur yeh baat ho sakta hai saamne wala jaanta bhi ho ya nahi bhi jaanta ho.kayi baar misconnect ho jati hai soch 2 insaano mein to yeh bahut jaruri ho jata hai ki sabse pehle pata lag jaaye ki kahin kuch gadbadd hua hai.aur fir ek healthy conversation se oos baat ko solve jald se jald kar lena chahiye.agar khamoshi mein shikayatein dafn ho gayi aur ooper se muskuraahat barkaraar rahi to yeh ek sahi rastaa nahi kehlata hai.
"Dost ban ban ke mile mujhko mitaane waale
humne dekhe hai kayi rang zamaane waale
tumne chup reh kar dhaya sitam aur bhi mujh par
tum se to achchey hai mere haal pe hansne waale..!" - lines from ghazal by Jagjit singh
iisliye kabhi dafn mat kjiye baaton ko...baaton ki kabr nahi hoti hai.woh alag baat hai ki kisi baat ko bataane se agar koi insaan tensed ho sakta hai to mat bataaiye...par mera aisa maan'na hai ki kabhi na kabhi bataa he dena chahiye depending on circumstances and waiting for right time.
kehte hai ki dunia mein har jurm ka prayshchit hai aur ooski maafi bhi..aur aisa bhi kaha jata hai ki maaf karna jurm karne se kathin kaam hota hai..maaf bhi har koi nahi kar sakta hai!
"Ae dunia baksh de humein bhi jara humaari galti par kyo ki hu main bhi to ik insaan jis se tu hai bani to meri ek badi ya choti galti pe itne fikarey aur sajaa mere liye kyu chuni..."
Rishto mein ek cheez ko main apne nazariye se sochta hu ki Kabhi hum kisi ko apna maan kar jab koi khaas baat bataate hai to jise bataa rahe hai oose yeh bhi sochna chahiye ki oos insaan ne dunia mein mujhe chuna hai yeh khaas baat bataane ke liye to main yeh baat poori koshish se samjhu aur kisi ko na bataaun yaani ki ooske lafzo ki hifazat karu aur woh jo mujhe apna maan raha hai,ooski respect bhi.ek waqt aisa aata hai ki humari zindagi mein kuch naye rishtey aate hai,par mera aisa maan'na hai ki puraane rishtey ki ehmiyat vaisi he rehni chahiye jaisi ki thi.aaj ke zamaane mein bachpann ko behlaane ke liye kayi shauk hai lekin puraane shauk, jaise patang udana ya kanchey khelna ya hide 'n' seek khelna aaj bhi utani he ehmiyat rakhte hai, in short new can be gold but old is always gold !
Maine ek movie mein suna tha ki Dosti he ek aisa rishta hai jo insaan khud banaata hai,baaki rishtey to baney banaaye aate hai..kaafi asardaar baat hai yeh bhi rishto ke ek aur pehlu par !Ek baat aur likhna chahta hu ki everyperson needs some spacial freedom in relations par majaa tab aata hai ki yeh apne aap ban jaaye,iise banaane ki jarurat na padey.
Finally bus yahi likhunga ki jitni gehri aur khamosh samajh hogi,utnaa majboot rishta hoga chahe woh khoon ka ho ya khoon ka na ho !
Jab bhi rishto ki baat aati hai mujhe Jagjit singh ki ek behtareen ghazal yaad aati hai jiski kuch lines yaha likh raha hu-
"Rishton mein daraar aayi
bete na rahe bete
bhai na rahe bhai
rishton mein daraar aayi
Parkha hai lahu apna
bharta hai zamane ko
tufano mein koi bhi, aaya na bachane ko
sahil pe nazar aaye kitane hi tamashayi
Rishton mein daraar aayi !"
***********************************************
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment